zindagani ki haqiqat tab hi khulti hai miyan kar-zar-e-zist ki jab nabz rukti hai miyan roz hum tamir karte hain fasil-e-jism-o-jaan roz jism-o-jaan se koi int girti hai miyan khwab se kah do hudud-e-chashm se bahar na ho aankh se ojhal har ek tabir chubhti hai miyan kal yahi chehre bahaar-e-husn ki pahchan the aaj un chehron se gard-e-umr udti hai miyan khwab hasrat ashk uljhan nala-o-faryaad-o-gham kisht-e-jaan mein roz fasl-e-dard ugti hai miyan jhut hai jab khwahish-e-nam-o-numud-o-takht-o-taj jhut ki khwahish mein kyun kar umr katti hai miyan wasl ka darkar hain kuchh hijr ke lamhat bhi wasl ki khwahish mein shiddat yun hi badhti hai miyan dekh kar 'zakir' gharib-e-shahr ki faqa-kashi maut apne aap sau sau bar marti hai miyan