zindagi be-qarar kaun kare khwahishen be-shumar kaun kare chhod kar kaam ye mohabbat ka khud ko be-rozgar kaun kare jab wafa hi nahin zamane mein ishq sar par sawar kaun kare maut aai hai zist ko lene maut se ab udhaar kaun kare haal jab puchhta nahin koi dard ko ishtihaar kaun kare tirgi mein adab ki duniya hai ab ye raushan dayar kaun kare khar hi khar hain 'ahad' jis par rah wo ikhtiyar kaun kare