zindagi kya hai wafa kya hai aqidat kya hai hum batate hain khudaon ki haqiqat kya hai main ne puchha hai sitaron se siyah raaton mein kaun hai ku-e-gunah rah-e-tariqat kya hai main ne haalat ki har aag mein jal kar jaana rahat-e-qalb hai kya aur musibat kya hai tok deta hai bhale koi ghalat ho ki sahi naseha ye to bata farz-e-nasihat kya hai chand suraj ko sitaron ko parakhne walo tum ko malum bhi hai chashm-e-basirat kya hai kitne anjaan hain insan samajh baithe hain khubsurat ho bashar phir to ye sirat kya hai kis qadar dur 'hari' kesh chale aae ho qadr thi des mein pardes mein qimat kya hai