zist ki dhup se yun bach ke nikalta kyun hai

zist ki dhup se yun bach ke nikalta kyun hai
tu jo suraj hai to phir sae mein chalta kyun hai

tu jo patthar hai to phir palkon pe aansu kaise
tu samundar hai to phir aag mein jalta kyun hai

mere chehre mein jo shaista-nazar aata hai
meri shiryanon mein wo shakhs ubalta kyun hai

kal tumhin ne use ye pyala diya tha yaro
mo'tariz kyun ho ki wo zahar ugalta kyun hai

meri sanson mein sisakne ki sada aati hai
ek marghat sa mere sine mein jalta kyun hai

jaane kin zarron se us khun ki shanasai hai
panw us mod pe hi aa ke phisalta kyun hai

mahfil-e-laghw se tahzib ne kya lena hai
aise shorida-saron mein tu sambhalta kyun hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close