zuhur-e-paikri sahra mein hai sirf ek nishan mera

zuhur-e-paikri sahra mein hai sirf ek nishan mera
ghubar-e-karwan hun dur nikla karwan mera

rasai marg-e-shauq-uftadgi nang-e-tan-asani
bala ki kashmakash hai aur ghubar-e-na-tawan mera

mujhe ghabra ke dosh-e-hasti-e-jawed par phenka
koi dam bhi na uttha maut se bar-e-giran mera

mere saz-e-nafas ki khamushi par ruh kahti hai
na aai mujh ko nind aur so gaya afsana-khwan mera

kharabi khanda-zan hai koshish-e-tamir par meri
qafas ko todta jata hai shauq-e-ashiyan mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close