janaze mein to aaoge na mere

kabhi main zindagi ki naz-bardari na kar paya
hamesha bich mein hail raha ek khwab

pagal khwab
sote jagte jo dekhta hun main

ki sar hi sar janaze mein hain mere
aur main banon ki nai ek chaarpai par sukun ke sath leta hans raha hun

ek aisi bhid par
jo mujh ko kandha dene ke liye aapas mein jhagda kar rahi hai

mujhe ye zindagi pairon-tale jitna kuchalti hai
meri is khwab se wabastagi badhti hi jati hai

mere jaise kisi gumnam se ek shakhs ki aankhon ne
aisa khwab kyun dekha

kahan dekha
ye khud mere liye bhi ek paheli hai

magar hansiye nahin is khwab par mere
mera ye khwab hi to wo kadi hai

jo mujh ko zindagi se jodti hai
na jaane kab se wo fahrist main tayyar karne laga hun

likhe hain nam jis mein aise logon ke
janaze mein jinhen hona hi hona chahiye mere

so un logon se rishte bhi
bahut hamwar hona chahiye mere

main ye bhi jaanta hun
mujhe jis shan se marne ki khwahish hai

wo mehnat mangti hai
kisi had tak bhi jhuk kar dushmanon se

sulh kar lene ki himmat mangti hai
mohabbat mangti hai

duaen mangta hun zindagi ki is liye main
ki mujh ko wo thoda waqt mil jae

nae rishte banane ka
talluq gahre karne ka

wagarna kyun bhala aaega koi
maut ke din ghar pe mere

sanak kah lo ki pagal-pan
idhar aa kar meri ye dhun yahan tak badh gai hai

ki ab main doston se
khushi ki mahfilon mein bhi ye aksar puchh leta hun

janaze mein to aaoge na mere?
yahan chaho to hans sakte ho mujh par

magar lashe pe to aansu bahaoge na mere?
wo hans dete hain meri baat par

aur main kahin andar se jaise tut jata hun
magar jab bhi kabhi aisa hua hai

janaze ne mujhe kandha diya hai
mujhe jab bhi laga aisa ki main ab thak raha hun

gir raha hun
mere is khwab ne

mere apne janaze ne mujhe kandha diya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close