piye ja

sharab-khana hai bazm-e-hasti
har ek hai mahw-e-aish-o-masti

maal-bini o mai-parasti
are ye zillat are ye pasti

shiar-e-rindana kar piye ja
agar koi tujh ko tokta hai

sharab pine se rokta hai
samajh ise hosh mein nahin hai

khirad ke aaghosh mein nahin hai
tu is se jhagda na kar piye ja

khayal-e-roz-e-hisab kaisa
sawab kaisa azab kaisa

bahisht o dozakh ke ye fasane
khuda ki baaten khuda hi jaane

fuzul socha na kar piye ja
nahin jahan mein mudam rahna

to kis liye tishna-kaam rahna
utha utha han utha subu ko

tamam duniya ki hao hu ko
ghariq-e-paimana kar piye ja

kisi se takrar kya zarurat
fuzul israr kya zarurat

koi piye to use pila de
agar na mane to muskura de

malal-e-asla na kar piye ja
tujhe samajhte hain ahl-e-duniya

kharab khasta zalil ruswa
nahin ayan un pe haal tera

koi nahin ham-khayal tera
kisi ki parwa na kar piye ja

ye tujh par aawaze kasne wale
tamam hain mere dekhe bhaale

nahin mazaq un ko mai-kashi ka
ye khun pite hain aadmi ka

tu un ka shikwa na kar piye ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close