a zist hamein tang na kar is se ziyaada itna to saha hum ne magar is se ziyaada hum khud bhi kamar bandh ke tayyar hain qasid kya hogi tere pas khabar is se ziyaada ye dil ki dua hai ise kuchh kam na samajhiye hoga abhi kuchh aur asar is se ziyaada ye soch ke kal raat hamein nind na aai kal hogi giran aur sahar is se ziyaada mumkin hai ye hangama abhi bas na samajh 'soz' karni ho tujhe umr basar is se ziyaada