aa gaya zulf ke dam mein dil-e-nadan apna apne hathon se kiya haal pareshan apna wo dikhate hain kise jalwa-e-pinhan apna kya karen haal bayan musi-e-imran apna ji uthe dekh ke hum kucha-e-jaanan ki bahaar aankh ke samne tha chashma-e-haiwan apna ishq mein hausla-e-zabt na ho kya mani hai wo majnun jo kare chaak gareban apna hae munh dhank ke rone ki bhi surat na rahi dasht mein chhin liya khar ne daman apna phul ke husn pe sarmast hain murghan-e-chaman kis se afsana kahe bulbul-e-nalan apna din ko hum baadiya-paimai kiya karte hain bistar ab raat ko hai reg-e-bayaban apna tum sambhaaloge to dil apna sambhal jaega warna qabu nahin dil par shab-e-hijran apna abhi kamsin ho shabab aaega aate aate rang badlega abhi aalam-e-imkan apna dekhne ke liye rahmat ke karishme hain bahut kaun dekhega wahan nama-e-isyan apna saf ruswai ke aasar nazar aate hain kahne sunne mein nahin hai dil-e-nadan apna yaad aane lagi yaran-e-watan ki sohbat dasht-e-ghurbat mein hai allah nigahban apna kaun hota hai musibat mein bashar ka hamdam shab-e-furqat ke siwa kaun hai pursan apna kyun mila hai hamein aakhir ye kafan ka parda maut ki aankh mein khatka tan-e-uryan apna dil koi chiz nahin teri mohabbat ke baghair main to samjha tha gham-e-ishq ko mehman apna baada-noshi se ye eazaz mila hai zahid aap ko shaikh samajhte hain musalman apna aaj har qatre se aati hai anal-haq ki sada ye dikhata hai asar khun-e-shahidan apna malak-ul-maut ki surat se main ghabraata hun aap rakhte mujhe sharminda-e-ehsan apna daur-e-saghar mein nazar aae nizam-e-qudrat sath is tarah se de gardish-e-dauran apna aashiq-e-zar pe rah rah ke nazar padti hai dhundhti hai koi hamdam shab-e-hijran apna ham-qafas jitne hain sayyaad se tharraate hain kya kahun kis se kahun haal-e-pareshan apna hum ne 'rasikh' tere ustad ka dekha hai kalam aaj ham-sar nahin rakhta wo sukhan-dan apna ghair ki bazm ke muhtaj nahin hum 'rasikh' shad-o-abaad rahe kulba-e-ahzan apna mai-kashi hai tere chehra se numayan 'rasikh' tu ne kya haal kiya hai ye meri jaan apna