aa tujh ko khayal mein basaun soe hue dard ko jagaun dil phatne laga hai yaad-e-mahbub aa tujh ko hi ab gale lagaun juz tere na sun sake koi bhi is lai mein tujhe main gungunaun ai naghma-taraaz jism-e-mauzun misre ki tarah tujhe uthaun jo guzra hai teri khalwaton mein kaise wo zamana bhul jaun ho bas mein mere to sang-dil ko haalat ka aaina dikhaun