aadmi aadmi ke bas ka nahin aur ye qissa sau baras ka nahin sirf taswir khinch sakta hai dukh tere camere ke bas ka nahin jab ye aati hai to nahin jati aagahi hai huzur chaska nahin jalti batti hai wo hawa hun main masala sirf dastaras ka nahin rikshe wale ne is ko batlaya ye tera muntazir hai bas ka nahin