aae hain rang bahaali par rakhta hun qadam hariyali par ek suraj meri mutthi mein ek suraj hal ki phaali par wahi ek charagh damakta hai gandum ki baali baali par dil dukhta hai dil rota hai ek patte ki pamali par kisi an-data par gir jata ek sikka kasa-e-khali par koi nur zuhur kare 'sarwat' usi hamd-al-hamd ki jali par