aah dekhi thi main jis ghar mein pari ki surat

aah dekhi thi main jis ghar mein pari ki surat
ab nazar aae hai wan nauhagari ki surat

na wo andaz na aawaz na ishwa na ada
yak-ba-yak mit gai yun jalwagari ki surat

ab khayal us ka wahan aankhon mein phirta hai meri
koi phirta tha jahan kabk-e-dari ki surat

us ke jaane se mera dil hai mere sine mein
dam ka mehman charagh-e-sahari ki surat

ne khabar us ko meri pahunche hai ne us ki mujhe
bandh gai hai ajab ek be-khabari ki surat

nam lun kis ka ki ek gul ke liye jate hain
ashk aankhon se aqiq-e-jigari ki surat

'mushafi' hai yahi ab soch ki dekhen to falak
phir bhi dikhlaega yar-e-safari ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close