aah kab lab par nahin hai dagh kab dil mein nahin kaun si shab hai ki garmi apni mahfil mein nahin bazm ki kasrat se andesha mere dil mein nahin dil mein us ki hai jagah mere jo mahfil mein nahin panja-e-mizhgan-e-tar ne ye udain dhajjiyan tar baqi ek bhi daman-e-sahil mein nahin khun-e-nahaq ka hamare dagh mitne ka nahin tegh mein hoga agar daman-e-qatil mein nahin parda-dar chehra-e-yusuf nahin hai har naqab husn-e-laila jalwa-gar har ek mahfil mein nahin najd ka sahra ajab sahra-e-wahshat-khez hai qais kya laila ko bhi aaram manzil mein nahin jis taraf ji chahega mera nikal jaunga main saikadon darwaze hain halqe salasil mein nahin had se bahar panw jo rakhta hai hota hai kharab ghar mein jo rahat musafir ko hai manzil mein nahin dubte jate hain kyunkar log hairat hai mujhe qadd-e-adam aab bahr-e-tegh-e-qatil mein nahin ho gaya dahshat se aisa bismilon ka khun khushk ek bhi dhabba lahu ka tegh-e-qatil mein nahin