aah-o-fariyaad ka asar dekha khud ko majbur beshtar dekha ban gaya hai naqab-e-tang-dili shohra-e-wusat-e-nazar dekha jism ne dal di sipar jab se ruh ko aazim-e-safar dekha hashr ka mo'taqid hua jis ne manzar-e-matla-e-sahar dekha naw sahil pe lag gai aa kar apne shana pe un ka sar dekha tama pindar jaur hirs fareb gamzan karwan-e-zar dekha shubh-e-zauq-e-nazar na ho jis par ek aisa bhi dida-war dekha kar liya un ke ijtinab pe sabr jab se aghmaz rahbar dekha dil ka aaina ru-ba-ru lae is liye un ko khud-nigar dekha jis ki ek apni kaenat na ho 'hamid' aisa koi bashar dekha