aaina ban jaiye jalwa-asar ho jaiye

aaina ban jaiye jalwa-asar ho jaiye
samne wo hon to sar-ta-pa nazar ho jaiye

soz-e-dil se gosha-e-tanhai mein kya faeda
is tarah jaliye charagh-e-rahguzar ho jaiye

is udasi ka dhundlaka khatm ho shayad kabhi
sham se pahle hi unwan-e-sahar ho jaiye

manzil-e-ulfat pe dil tanha pahunch sakta nahin
aap agar chahen to mere ham-safar ho jaiye

khud-bakhud sare zamane ko khabar ho jaegi
hoshiyari hai ki sab se be-khabar ho jaiye

shauq kahta hai ki sajdon mein tasalsul chahiye
dil ye kahta hai ki jazb-e-sang-e-dar ho jaiye

jab kisi se pesh-qadmi zulm ki rukti na ho
us jagah lazim hai khud sina-sipar ho jaiye

ek azab-e-mustaqil hai fikr-e-tamir-e-makan
sakin-e-sahra-e-be-diwar-o-dar ho jaiye

kashmakash mein infiradiyyat zaruri hai 'saba'
jis taraf koi nahin hota udhar ho jaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close