aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya main hi is bahrup ghar mein ek jhuta rah gaya aankh khulte hi umad aai hai kitni tirgi dekhte hi dekhte suraj sitara rah gaya sar-phiri aandhi ne aakhir kar diya qissa tamam main charaghon ki lawon par hath rakhta rah gaya naqsh dhundlae to chehre ki shanasai gai aankh putli mein larazta ek hayula rah gaya mauj-e-dariya se mile shayad numu ka zaiqa jhilmilata aab-e-dariya reg-e-dariya rah gaya ab 'munawar' kaun laega khabar us par ki kis ko lahron se nimatne ka saliqa rah gaya