aaina-dil dagh-e-tamanna ke liye tha sine ka sadaf ek dur-e-yakta ke liye tha jo tairne wale the wo manjdhaar se guzre dariya ka kinara kaf-e-dariya ke liye tha kyun hath mein tere mujhe patthar nazar aaya diwana agar tha to main duniya ke liye tha guzra na tere baad koi kucha-e-dil se ye rasta ek naqsh-e-kaf-e-pa ke liye tha diwar se rukta nahin diwar ka saya zabt-e-gham-e-mazi gham-e-farda ke liye tha koi nahin mahfuz yahan dast-e-hawas se yusuf ka jo daman tha zulekha ke liye tha be-parda chamakta hai jo ab mahfil-e-shab mein wo chand 'samad' kal yad-e-baiza ke liye tha
Please share if you liked this!!!