aaina-e-wahshat ko jila jis se mili hai

aaina-e-wahshat ko jila jis se mili hai
wo gard rah-e-tark-e-marasim se uthi hai

sadiyon ke tasalsul mein kahin gardish-e-dauran
pahle bhi kahin tujh se mulaqat hui hai

ai karb-o-bala khush ho nai nasl ne ab ke
khud apne lahu se teri tarikh likhi hai

us kaj-kulah-e-ishq ko ai mashq-e-sitam dekh
sar tan pe nahin phir bhi wahi sarw-qadi hai

kis rah se tujh tak ho rasai ki har ek samt
duniya kisi diwar ke manind khadi hai

zindan ki fasilen hon ki maqtal ki fazaen
raftar-e-junun bhi kahin roke se ruki hai

jis rup mein jab chahe jise dhaal de 'ummid'
duniya bhi ajab kar-gah-e-kuza-gari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close