aaina kabhi qabil-e-didar na howe gar khak ke sath us ko sarokar na howe kya khak kaho us mein tajalli ho numayan khurshid ka jo zarra parastar na howe gar mehr na ho dagh ke ulfat ki gawahi manzur mere dard ka tumar na howe dil khwab ki ghaflat se mabaada kahin chaunke ye fitna-e-khwabida hi bedar na howe ishq ahl-e-wafa bich use qadr hai kya khak wo dil ki jo gard-e-rah-e-dildar na howe