aaina sina-e-sahab-nazaran hai ki jo tha chehra-e-shahid-e-maqsud ayan hai ki jo tha ishq-e-gul mein wahi bulbul ka fughan hai ki jo tha partaw-e-mah se wahi haal-e-katan hai ki jo tha aalam-e-husn khuda-dad-e-butan hai ki jo tha naz-o-andaz bala-e-dil-o-jaan hai ki jo tha rah mein teri shab-o-roz basar karta hun wahi mil aur wahi sang-e-nishan hai ki jo tha roz karte hain shab-e-hijr ko bedari mein apni aankhon mein subuk khwab-e-giran hai ki jo tha ek aalam mein ho har-chand masiha mashhur nam-e-bimar se tum ko khafaqan hai ki jo tha daulat-e-ishq ka ganjina wahi sina hai dagh-e-dil zakhm-e-jigar mohr-o-nishan hai ki jo tha naz-o-andaz-o-ada se tumhein sharm aane lagi aarzi husn ka aalam wo kahan hai ki jo tha jaan ki taskin ke liye haalat-e-dil kahte hain be yaqini ka teri hum ko guman hai ki jo tha asar-e-manzil-e-maqsud nahin duniya mein rah mein qafila-e-reg-e-rawan hai ki jo tha dahan us ru-e-kitabi mein hai par na-paida ism-e-azam wahi quran mein nihan hai ki jo tha kaba-e-madd-e-nazar qibla-numa hai ta-haal ku-e-jaanan ki taraf dil nigaran hai ki jo tha koh-o-sahra-o-gulistan mein phira karta hai mutalashi wo tera aab-e-rawan hai ki jo tha sozish-e-dil se tasalsul hai wahi aahon ka ud ke jalne se mujmir mein dhuan hai ki jo tha raat kat jati hai baaten wahi sunte sunte sham-e-mahfil sanam-e-charb-zaban hai ki jo tha pa-e-kham maston ke hu-haq ka jo aalam hai so hai sar-e-mimbar wahi waiz ka bayan hai ki jo tha kaun se din nai qabren nahin is mein bantin ye kharaba wahi ibrat ka makan hai ki jo tha be-khabar shauq se mere nahin wo nur-e-nigah qasid-e-ashk shab-o-roz wahan hai ki jo tha lailatul-qadr kinaya na shab-e-wasl se ho us ka afsana miyan-e-ramazan hai ki jo tha din-o-duniya ka talabgar hanuz 'atish' hai ye gada sail-e-nadq-e-do-jahan hai ki jo tha