aaj ke mahaul mein insaniyat badnam hai

aaj ke mahaul mein insaniyat badnam hai
ye inad-e-bahami ka hi faqat anjam hai

haq-shanasi ka chalan hum mein nahin baqi raha
subh apni pur-alam hai pur-khatar har sham hai

haif barbaadi-e-gulshan apne hi hathon hui
muft mein baad-e-khizan ke sar pe kyun ilzam hai

dhundli dhundli si faza hai mehr aur ikhlas ki
ab rifaqat aashti aur dosti gumnam hai

tapte sahra se to bach kar aa gae the hum magar
ab qadam kaise badhaen pur-khatar har-gam hai

kya girani aur arzani ki hum baaten karen
pani mahnga hai yahan aur khun saste dam hai

bap se bachche ai 'mohsin' munharif hone lage
tarbiyat aur ilm ke fuqdan ka anjam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close