aaj sitare aangan mein hain un ko rukhsat mat karna sham se main bhi uljhan mein hun tum bhi ghaflat mat karna har aangan mein diye jalana har aangan mein phul khilana is basti mein sab kuchh karna hum se mohabbat mat karna ajnabi mulkon ajnabi logon mein aa kar malum hua dekhna sare zulm watan mein lekin hijrat mat karna us ki yaad mein din bhar rahna aansu roke chup sadhe phir bhi sab se baaten karna us ki shikayat mat karna