aaj viraniyon mein mera dil naya silsila chahta hai

aaj viraniyon mein mera dil naya silsila chahta hai
sham dhalne ko hai zindagi ki khuda aur kya chahta hai

dhup ki niyyaton mein bhadakne lage nafraton ke alaw
ai ghata is liye tujh ko mera badan odhna chahta hai

nind ki rahaton se nahin mutmain silsila dhadkanon ka
phir dil-e-zar ranaiyon mein gundha ratjaga chahta hai

teri nazdikiyon ko pahan ke main shahzada lagne laga hun
chhu ke ranginiyan ab ke dekhun teri ji, bada chahta hai

parwarish hauslon ki tamam umr mere lahu ne khamoshi se ki
ab junun aks ko dekhne ke liye aaina chahta hai

jo hatheli ki sari purani lakiron ko tabdil kar de
aisa khush-rang har aadmi ab yahan saneha chahta hai

tum samundar ke sahme hue josh ko mera paigham dena
mausam-e-habs mein phir koi aaj taza hawa chahta hai

umr bhar aansuon se jo dhota raha chehra mahrumiyon ka
wo teri rahmaton se mere maula ab ke jaza chahta hai

naz tha jis ko meri rifaqat ke har lamha-e-mukhtasar par
aaj mahsus aisa hua hai ki wo fasla chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close