aaj yaron ko mubarak ho ki subh-e-id hai rag hai mai hai chaman hai dilruba hai did hai dil diwana ho gaya hai dekh ye subh-e-bahaar rasmasa phulon basa aaya ankhon mein nind hai sher aashiq aaj ke din kyun raqiban pe na hon yar paya hai baghal mein khana-e-khurshid hai gham ke pichho rast kahte hain ki shadi howe hai hazrat-e-ramazan gae tashrif le ab id hai id ke din rowta hai hijr sin ramzan ke be-nasib us shaikh ki dekho ajab fahmid hai silk us ki nazm ka kyunkar na howe qimti 'abru' ka sher jo dekha so marwarid hai