aakhir gham-e-jaanan ko ai dil badh kar gham-e-dauran hona tha is qatre ko banna tha dariya is mauj ko tufan hona tha har mod pe mil jate hain abhi firdaus-o-jinan ke shaidai tujh ko to abhi kuchh aur hasin ai aalam-e-imkan hona tha wo jis ke gudaz-e-mehnat se pur-nur shabistan hai tera ai shokh usi bazu pe teri zulfon ko pareshan hona tha aati hi rahi hai gulshan mein ab ke bhi bahaar aai hai to kya hai yun ki qafas ke goshon se elan-e-bahaaran hona tha aaya hai hamare mulk mein bhi ek daur-e-zulekhai yani ab wo gham-e-zindan dete hain jin ko gham-e-zindan hona tha ab khul ke kahunga har gham-e-dil 'majruh' nahin wo waqt ki jab ashkon mein sunana tha mujh ko aahon mein ghazal-khwan hona tha