aakhir wo iztirab ke din bhi guzar gae jab dil-e-harif-e-atish-e-qahr-o-itab tha jaan doston ki chaaragari se labon pe thi sar dushmanon ki sang-zani se azab tha daman-e-sagan ku-e-mohabbat se tar tar chehra kharash-e-dast-e-junun se kharab tha wan e'timad-e-mashq-e-siyasat ki had na thi yan e'tibar-e-nala-e-dil be-hisab tha har baat sufiyon ki tarah pech-o-kham liye har lafz shairon ki tarah intikhab tha har jalwa ek daftar aashob-e-rozgar har ghamza ilm-e-fitna-gari ki kitab tha khwabida har nazar mein banae fasad-e-khalq poshida har rawish mein naya inqalab tha aaj is ghazal mein hum pe qayamat guzar gai kya garmi-e-khayal thi kya iltihab tha