aaKHiri waqt hai aaKHiri sans hai zindagi ki hai sham aaKHiri aaKHiri

aakhiri waqt hai aakhiri sans hai zindagi ki hai sham aakhiri aakhiri
sang-dil aa bhi ja ab khuda ke liye lab pe hai tera nam aakhiri aakhiri

kuchh to aasan hoga adam ka safar un se kahna tumhein dhundhti hai nazar
nama-bar tu khudara na ab der kar de de un ko payam aakhiri aakhiri

tauba karta hun kal se piyunga nahin mai-kashi ke sahaare jiyunga nahin
meri tauba se pahle magar saqiya sirf de ek jam aakhiri aakhiri

mujh ko yaron ne nahla ke kafna diya do ghadi bhi na biti ki dafna diya
kaun karta hai gham tutte hi ye dam kar diya intizam aakhiri aakhiri

jite-ji qadr meri kisi ne na ki zindagi bhi meri bewafa ho gai
duniya walo mubarak ye duniya tumhein kar chale hum salam aakhiri aakhiri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close