aan pahunche hain ye kahan hum log

aan pahunche hain ye kahan hum log
ab zamin hain na aasman hum log

kal yaqin bantte the auron mein
ab hain khud se bhi bad-guman hum log

kin hawaon ki zad mein aae hain
ho gae hain dhuan dhuan hum log

chup to pahle bhi jhelte the magar
is qadar kab the be-zaban hum log

kab mayassar koi kinara ho
kab sametenge baadban hum log

ban gae rakh ab na-jaane kyun
the kabhi shoala-e-tapan hum log

hum ko jaana tha kis taraf 'razmi'!
aur kis samt hain rawan hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close