aankh dikhlane laga hai wo fusun-saz mujhe kahin ab khak na chhanwae ye andaz mujhe kaise hairan the tum aaine mein jab aankh ladi aaj tak yaad hai is ishq ka aaghaz mujhe samne aa nahin sakte ki hijab aata hai parda-e-dil se sunate hain wo aawaz mujhe tiliyan tod ke nikle sab asiran-e-qafas magar ab tak na mili rukhsat-e-parwaz mujhe par katar de are sayyaad chhuri pherna kya mar dalegi yunhi hasrat-e-parwaz mujhe zer-e-diwar-e-sanam qabr mein sota hun falak kyun na ho tala-e-bedar par ab naz mujhe be-dhadak aae na zindan mein nasim-e-wahshat mast kar deti hai zanjir ki aawaz mujhe parda-e-hijr wahi hasti-e-mauhum thi 'yas' sach hai pahle nahin malum tha ye raaz mujhe