aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda uga

aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda uga
paniyon mein surkh paude dhup mein saya uga

aasman ki bhid mein to is liye socha gaya
is zamin ki chhatiyon se nur ka chashma uga

nind mein chalne ki aadat khwab mein likhne ka fan
ek jaisi baat hai to aatish-e-naghma uga

main ne apni donon aankhon mein ugae hain pahad
teri aankhon mein samundar tha wahan sahra uga

sabza-e-begana ban kar ji liya to kya jiya
khud ko bo kar is zamin se ek naya chehra uga

dhup jaise qahqahe hain ret jaisi baat hai
tu agar ghawwas hai to ret mein dariya uga

ye zamin budhi hai us ko pith se apni utar
aasman ko jeb mein rakh le nai duniya ka uga

hum to khud izhaar hain apne zamane ka 'matin'
bujh gae aawaz ke shoale naya lahja uga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close