aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puri hui

aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puri hui
aansuon mein bhig jaane ki hawas puri hui

aa rahi hai jism ki diwar girne ki sada
ek ajab khwahish thi jo ab ke baras puri hui

is khizan-asar lamhe ki hikayat hai yahi
ek gul-e-na-afrida ki hawas puri hui

aag ke shoalon se sara shahr raushan ho gaya
ho mubarak aarzu-e-khar-o-khas puri hui

kaisi dastak thi ki darwaze muqaffal ho gae
aur is ke sath rudad-e-qafas puri hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close