aankh se aansu tapka hoga subh ka tara tuta hoga phail gai hai nur ki chadar rukh se aanchal sarka hoga phail gae hain raat ke sae aankh se kajal dhalka hoga bikhri patti dekh ke gul ki kaliyon ne kya kya socha hoga dekh musafir bhut nahin hai rah ka patta khadka hoga aariz-e-gul pe dekh ke shabnam kaliyon ne munh dhoya hoga chup chup rahna thik nahin hai baat badhegi charcha hoga ghum rahe hain shahron shahron koi to aakhir tum sa hoga aaj kuan bhi chikh utha hai kisi ne patthar mara hoga phail gai hai pyar ki khushbu koi patinga jalta hoga mujh se nata tod ke sahil wo bhi ab pachhtata hoga