aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi

aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi
ek chhalakte saghar mein mai bhi hai mai-khana bhi

be-khudi-e-dil ka kya kahna sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin
hasti se manus bhi hun hasti se begana bhi

husn ne tere duniya mein kaisi aag laga di hai
barq bhi shoala barpa hai raqs mein hai parwana bhi

wusat-e-wahshat tang hui bigda ghar diwanon ka
najd ke ek saudai ne lut liya virana bhi

aaj mohabbat ruswa hai hathon se hoshyaron ke
ishq ki pahli duniya mein tha koi diwana bhi

dil ki duniya hilti hai roko apni nazron ko
kafir lute leti hain aaj tajalli-khana bhi

gardish mast nigahon ki aakhir wajd-angez hui
chakkar mein 'saghar' bhi hai daur mein hai paimana bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close