aankhon aankhon mein mohabbat ka payam aa hi gaya

aankhon aankhon mein mohabbat ka payam aa hi gaya
marhaba izn-e-wida-e-nang-o-nam aa hi gaya

aafiyat ke nam wahshat ka payam aa hi gaya
lo ye afsana qarib-e-ikhtitam aa hi gaya

kam se kam jazb-e-wafa itna to kaam aa hi gaya
be-irada un ke lab par mera nam aa hi gaya

shaikh ka sab zohd-o-taqwa aaj kaam aa hi gaya
jab wo mina-e-rawan sahba ba-jam aa hi gaya

mai-kade mein jaane kya kya gul khilate shaikh-ji
wo to rindon ko khayal-e-ehtiram aa hi gaya

umr-bhar jis ke liye aankhen rahi hain farsh-e-rah
wo ajal ka qasid-e-farkhanda-gam aa hi gaya

naz the kya kya uruj-e-nayyar-e-iqbaal par
dopahar ke baad dekha waqt-e-sham aa hi gaya

alwidaa ai zoam-e-hasti al-firaq ai wahm-e-zist
maut ban kar muzhda-e-umr-e-dawam aa hi gaya

zabt-e-raaz-e-gham pe sau jaanen bhi kar dete nisar
kya bataen bas zaban par un ka nam aa hi gaya

husn ne bhi karwaten badli hain ai dil raat-bhar
teri peshani se dagh-e-nang-e-kham aa hi gaya

jab kahin lutf-e-sukhan ki baat aai hai 'rashid'
eatibarul-mulk ka har lab pe nam aa hi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close