aankhon mein mere gham ki taswir sanjo loge

aankhon mein mere gham ki taswir sanjo loge
ye baat na sochi thi daman ko bhigo loge

tum tark-e-talluq ko kyun chehre pe likh lae
tum ne to kaha ye tha ye raaz na khologe

jab mera pata tum se puchhenge gali wale
kuchh kah to na paoge palkon ko bhigo loge

sach-much ye batao tum kya mujh se bichhad kar bhi
in hijr ki raaton mein aaram se so loge

is bhid mein logon ki main ro bhi nahin sakta
ek tum ho ki chupke se tanhai mein ro loge

ye kaun hai jo 'ishrat' hai mere taaqub mein
itni badi duniya mein kis kis ko tatologe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close