aansu to koi aankh mein laya nahin hun main jaisa magar laga tumhein waisa nahin hun main ab mubtala-e-ishq zyaada nahin hun main kahte ho tum yahi to phir achchha nahin hun main khubi na ho koi magar itna to hai zarur jhuti lage jo baat wo kahta nahin hun main pani pe bante aks ki manind hun magar aankhon mein koi bhar le to mitta nahin hun main is tarah khud ko mujh pe numayan na kijiye insan hun huzur farishta nahin hun main raston ke kham wa pech mein aisa raha hun gharq ab tak kisi maqam pe thahra nahin hun main sauda hai mere sar mein to pairon mein bhi hai dam chalta hun ek bar to rukta nahin hun main mano meri bhi baat ki sab kuchh luta ke bhi jita hun us ke ishq mein haara nahin hun main sun lo 'hilal' aaj hi sunna hai jo ghazal phir mujh se mat ye kahna sunata nahin hun main