aap apna ghubar the hum to

aap apna ghubar the hum to
yaad the yaadgar the hum to

pardagi hum se kyun rakha parda
tere hi parda-dar the hum to

waqt ki dhup mein tumhaare liye
shajar-e-saya-dar the hum to

ude jate hain dhul ke manind
aandhiyon par sawar the hum to

hum ne kyun khud pe eatibar kiya
sakht be-e'tibar the hum to

sharm hai apni bar bari ki
be-sabab bar bar the hum to

kyun hamein kar diya gaya majbur
khud hi be-ikhtiyar the hum to

tum ne kaise bhula diya hum ko
tum se hi mustaar the hum to

khush na aaya hamein jiye jaana
lamhe lamhe pe bar the hum to

sah bhi lete hamare tanon ko
jaan-e-man jaan-nisar the hum to

khud ko dauran-e-haal mein apne
be-tarah nagawar the hum to

tum ne hum ko bhi kar diya barbaad
nadir-e-rozgar the hum to

hum ko yaron ne yaad bhi na rakha
'jaun' yaron ke yar the hum to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close