aap karishma-saz hue hain hosh mein hai diwana bhi

aap karishma-saz hue hain hosh mein hai diwana bhi
husn-e-ada hai nam usi ka hairan hai parwana bhi

waqt ne aisi karwat badli phul khile basti ujdi
wahshat ka wo zor badha aabaad hua virana bhi

raat ki mahfil-arai ka pichhle pahar ahwal na puchh
shama ki lau bhi sard padi thi rakh hua parwana bhi

tanhai se ghabra kar hum kya kya shikwe karte the
lekin jab se aap mile hain dost hua begana bhi

dam ke dam mein duniya badli bhid chhati kohram utha
chalte chalte sans ruki aur khatm hua afsana bhi

main bhi sajda kar lun 'nami' lekin dil ko dhadkan hai
kya ye wahi kaba to nahin jo kal tak tha but-khana bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close