aap mein kyunkar rahe koi ye saman dekh kar

aap mein kyunkar rahe koi ye saman dekh kar
sham-e-ismat ko bhari mahfil mein uryan dekh kar

dil ko bahlate ho kya kya aarzu-e-kham se
amr-e-na-mumkin mein goya rang-e-imkan dekh kar

kya ajab hai bhul jaen ahl-e-dil apna bhi dard
husn-e-mastana ko aakhir mein pashiman dekh kar

dhundte phirte ho ab tute hue dil mein panah
dard se khali dil-e-gabr-o-musalman dekh kar

dil jala kar wadi-e-ghurbat ko raushan kar chale
khub sujhi jalwa-e-sham-e-ghariban dekh kar

imtiyaz-e-surat-o-mani se begana hua
aaine ko aaina hairan ko hairan dekh kar

pairahan mein kya sama sakta habab-e-jaan-ba-lab
hasti-e-mauhum ka khwab-e-pareshan dekh kar

sabr karna sakht mushkil hai tadapna sahl hai
apne bas ka kaam kar leta hun aasan dekh kar

aur kya hoti 'yagana' dard-e-isyan ki dawa
kya ghazal yaad aai wallah fard-e-isyan dekh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close