aariz-e-shama pe nind aa gai parwanon ko

aariz-e-shama pe nind aa gai parwanon ko
khwab se ab na jagae koi diwanon ko

un ko malum hai rindon ki tamanna kya hai
aks-e-rukh dal ke bhar dete hain paimanon ko

ai dil-e-zar udhar chal ye tazabzub kya hai
wo to aankhon pe utha lete hain mehmanon ko

wo bhi mutlashi-e-yak-jalwa-e-gum-gashta hain
hum ne nazdik se dekha hai pari-khanon ko

ho gae saf ayan ruh-o-badan ke nasur
raushni mar gai aaj ke insanon ko

un ke har chaak se tanwir-e-wafa phutegi
jashn-e-farda mein sajaenge garebanon ko

qalam-e-dar se tahrir-e-rasan se hum ne
ek naya mod diya ishq ke afsanon ko

josh dariya ke qarain ye batate hain 'zahir'
mauj kha jaegi sahil ke shabistanon ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close