aarzu hai main rakhun tere qadam par gar jabin tu uthawe naz se zalim laga thokar jabin apne ghar mein to bahut patka pa kuchh hasil nahin ab ke ji mein hai teri chaukhat pe roun dhar jabin jaisi peshani teri hai ai mere khurshid-ru chand ki hai raushni mein us se kab behtar jabin shaikh aa jalwa khuda ka mai-kade mein hai mere kyun ragadta hai abas kabe ke tu dar par jabin kya karun tere qadam tak to nahin hai dastaras naqsh-e-pa hi par tere malta hun main akasr jabin shaikh gar shaitan se surat nahin milti teri bas bata daghi hui hai kis tarah yaksar jabin hai kisi ki bhi teri se aundhi peshani bhala dekh tu ai shokh apni aaina le kar jabin aa ke jin hathon se malta tha tere talwon ke tain pitta hun ab unhin hathon se main akasr jabin bujh kar naqsh-e-qadam ko tere mehrab-e-dua mangta hun main murad-e-dil ko rakh is par jabin chand ka mukhda hai ya aaina ya mushaf ka lauh ya teri hai ai mere rashk-e-mah-o-akhtar jabin saf dil 'taban' mukaddar hi kabhu hota nahin aaina ki haigi raushan dekh le yaksar jabin