aarzu nakaam ho kar rah gai hai zindagi ilzam ho kar rah gai hai khwab tabiron ke mani puchhte hain nind be-anjam ho kar rah gai hai yaad bhi qatil ki hai shamshir qatil raat khun-asham ho kar gai hai waqt ne dastar ki surat badal di ab to ye ehram ho kar rah gai hai zahr mein dubi hui ek muskurahat maut ka paigham ho kar rah gai hai nachti hain dhan ke kheton mein pariyan ye ghata inam ho kar rah gai hai guftugu-e-dil ba-unwan-e-mohabbat sar-ba-sar ilzam ho kar rah gai hai gardish jam-o-subu ko kya hua hai gardish-e-ayyam ho kar rah gai hai