aarzu thi ek din tujh se milun mil gaya to sochta hun kya karun jism tu bhi aur main bhi jism hun kis tarah phir tera pairahan banun rasta koi kahin milta nahin jism mein janmon se apne qaid hun thi ghutan pahle bhi par aisi na thi ji mein aata hai ki khidki khol dun khud-kushi ke sainkadon andaz hain aarzu hi ka na daman tham lun saaten sanat-gari karne lagin har taraf hai yaad ka gahra fusun