aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak

aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak
rote rote bujh gai hain sari shamen subh tak

shab ki mutthi mein parindon ki tarah wo so gain
ho gain zinda hatheli par lakiren subh tak

waqt ki guzri ibarat ki tilawat ke liye
raat ki tanhaiyon mein aao ghumen subh tak

din ka suraj un pe likkhega anokhe tabsire
hum ne jo talif kin dil par kitaben subh tak

zindagi ke raston mein jo kahin gum ho gae
dhundti ab un ko hain khwabon mein aankhen subh tak

aashiyanon mein na jab laute parinde to 'sadid'
dur tak takti rahin shakhon mein aankhen subh tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close