aarzuon ke shagufon ko jala kar dekho kitni khalis hai mohabbat pe tapa kar dekho bahr-e-duniya ke talatum mein khulus aur wafa kachchi mitti ke gharaunde hain bana kar dekho baat kuchh qahqahon kuchh tanon mein dab jaegi dastan dard ki apnon ko suna kar dekho log angare bujha denge guzargahon mein ek qadam pyar ke raste pe badha kar dekho jina chahoge to jine bhi na dega koi mar na paoge zara maut bula kar dekho