aashiq the shahr mein jo purane sharab ke hain un ke dil mein waswase ab ehtisab ke wo jo tumhaare hath se aa kar nikal gaya hum bhi qatil hain usi khana-kharab ke phulon ki sej par zara aaram kya kiya us gul-badan pe naqsh uth aae gulab ke soe to dil mein ek jahan jagne laga jage to apni aankh mein jale the khwab ke bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhen dariya rawan-dawan hain chamakte sarab ke okada itni dur na hota to ek din bhar late sans sans mein gul aaftab ke kis tarah jama kijiye ab apne aap ko kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke
This is a great late reply shayari. True lovers of shayari purani yaad will love this. Please share if you liked this!!!