aashiyana mera barbaad na kar ai sayyaad bagh se tu mujhe aazad na kar ai sayyaad qaid tu ne kiya gulchin ne mera dil toda us pe kahta hai ki fariyaad na kar ai sayyaad phul kumhla gae naghmon ka zamana na raha pichhli baaton ko to ab yaad na kar ai sayyaad ek na ek roz to gulshan mein bahaar aaegi khak meri abhi barbaad na kar ai sayyaad phir ye kahta hun ki main 'shad' hun nashad na hun aashiyana mera barbaad na kar ai sayyaad