aatish-e-mina nazar aai harifana mujhe

aatish-e-mina nazar aai harifana mujhe
ek taghayyur ki khabar deta hai paimana mujhe

tishna-e-nazuk mizajaan-e-kanisht-o-dair ka
barhaman kahne bhi de ek-adh afsana mujhe

kis qadar hairat-asar nikli hai marg-e-andalib
is sipas-e-jaan se gul lagta hai begana mujhe

ek khayal-e-zulf-e-jaanan ek hawa-e-pech-pech
ek na ek zanjir-e-sar rakhti hai diwana mujhe

bosa-e-jaanan mein thi yun to had-e-shukr-o-sipas
chahiye ek larzish-e-lab bhi raqibana mujhe

us ke paikar ki jhalak rahon pe thi nazdik o dur
kal ghurub-e-mahr tha ek aaina-khana mujhe

shahr jin ke nam se zinda tha wo sab uth gae
ek ishaare se talab karta hai virana mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close