aatish-e-soz-e-mohabbat ko bujha sakta hun main dida-e-pur-nam se ek dariya baha sakta hun main husn-e-be-parwa tera bas ek ishaara chahiye meri hasti kya hai hasti ko mita sakta hun main ye to farma dijiye takmil-e-ulfat ki qasam aap ko kya waqai apna bana sakta hun main ishq mein roz-e-azal se dil hai paband-e-wafa bhulne wale tujhe kyunkar bhula sakta hun main ham-nafas mutlaq bhi tufan-e-alam ka gham nahin bahr ki har mauj ko sahil bana sakta hun main bakhsh di hain ishq ne is darja mujh ko himmaten zakhm kha kar dil pe 'qaisar' muskura sakta hun main